Phulon Ki Tahaniyon Pe Nasheman Banaiye
Bijli Gire To Jashn-E-Charagaan Manaiye
Kaliyon Ke Ang Ang Main Mitha Sa Dard Hai
Bimaar Nikahaton Ko Zara Gud-Gudaaiye
Kab Se Sulag Rahi Hai Jawani Ki Garm Raat
Zulfen Bikher Kar Mere Pahlu Main Aaiye
Bahki Hui Siyaah Ghataaon Ke Saath Saath
Ji Chahta Hai Shaam-E-Abad Tak To Jaaiye
Sun Kar Jise Hawas Main Thandak Si Aa Base
Aisi Koi Udaas Kahani Sunaaiye
Raste Pe Har Qadam Pe Kharabaat Hain “Adam”
Ye Haal Ho To Kis Tarah Daaman Bachaaiye