Hontho Pe Kabhi Un Ke Mera Naam Hi Aaye
Aaye To Sahi Bar-Sar-E-Ilzaam Hi Aaye
Hairaan Hain Lab Bastaa Hain, Dilgir Hain Gunche
Khushboo Ki Zubani Tera Paigaam Hi Aaye
Lamhaat-E-Masarrat Hain Tasavvur Se Gurezaan
Yaad Aae Hain Jab Bhi Gam-O-Aalam Hi Aaye
Taaron Se Saja Lenge Raah-E-Shahar-E-Tamanna
Maqdur Nahin Subho Chalo Shaam Hi Aaye
Yaadon Ke Wafaon Ke Aqidon Ke Gamon Ke
Kaam Aaye Jo Duniya Main To Is Naam Hi Aaye
Kya Raah Badalne Ka Gila Hamsafaron Se
Jis Raah Se Chale Tere Dar-O-Baam Hi Aaye
Thak Haar Ke Baithe Hain Sar-E-Ku-E-Tamanna
Kaam Aaye To Phir Jazba-E-Nakaam Hi Aaye
Baaqi Na Rahe Saakh “Adaa” Dasht-E-Junoon Ki
Dil Main Agar Andesha-E-Anjaam Hi Aaye