Chand Sitaaron Se Kya Pucho Kab Din Mere Phirte Hain
Wo To Bechare Khud Hain Bhikari Dere Dere Phirte Hain
Jin Galiyon Main Ham Ne Sukh Ki Sej Pe Raaten Kaati Thi
Un Galiyon Main Vyakul Hokar Saanjh Savere Phirte Hain
Rup-Sarup Ki Jot Jagana Is Nagri Main Jokhim Hai
Chaaron Khunt Bagule Ban Kar Ghor Andhere Phirte Hain
Jin Ke Shaam-Badan Saaye Main Mera Man Sustaya Tha
Ab Tak Aankhon Ke Aage Wo Baal Ghanere Phirte Hain
Koi Hame Bhi Ye Samjha Do Un Par Dil Kyon Rijh Gaya
Tikhi Chitvan Baanki Chhab Wale Bahutere Phirte Hain
Is Nagri Main Baag Aur Ban Ki Yaaro Lila Nyari Hai
Panchi Apne Sar Pe Uthakar Apne Basere Phirte Hain
Log To Daaman Si Lete Hain Jaise Ho Ji Lete Hain
‘Abid’ Ham Deewane Hain Jo Baal Bikhere Phirte Hain