August 1, 2011

Dil Hai Aaina-E-Hairat Se Do-Chaar Aaj Ki Raat

Dil Hai Aaina-E-Hairat Se Do-Chaar Aaj Ki Raat
Gam-E-Dauraan Main Hai Aks-E-Gham-E-Yaar Aaj Ki Raat
Aatish-E-Gul Ko Daaman Se Hawa Deti Hai
Didani Hai Ravish-E-Mauj-E-Bahaar Aaj Ki Raat
Aaj Ki Raat Ka Mahmaan Hai Malbus-E-Harir
Is Chaman-Zaar Main Ugte Hain Sharar Aaj Ki Raat
Main Ne Farhad Ki Aagosh Main Shirin Dekhi
Main Ne Parvez Ko Dekha Sar-E-Daar Aaj Ki Raat
Jo Chaman Sarf-E-Khizaan Hain Wo Bulate Hain Mujhe
Mujhe Fursat Nahin Ai Jaan-E-Bahaar Aaj Ki Raat
Dar-E-Yazdaan Pe Bhi Jhukti Nahin Is Waqt Jabin
Mujh Se Aankhen Na Ladaa ??? Aaj Ki Raat
Mashaal-E-Sher Ka Laaya Hoon Chadhava “Abid”
Jagmagate Hain Shahidon Ke Mazaar Aaj Ki Raat