August 10, 2011

Muntazir Kab Se Tahayyur Hai Teri Taqarir Ka


Muntazir Kab Se Tahayyur Hai Teri Taqarir Ka
Baat Kar Tujh Par Gumaan Hone Laga Taswir Ka
Raat Kya Soye Ki Baaki Umar Ki Nind Ud Gai
Khwaab Kya Dekha Ki Dhadka Lag Gaya Taabir Ka
Jaane Tu Kis Aalam Main Bichhada Hai Ki Tere Bagair
Aaj Tak Har Lafz Fariyaadi Meri Taharir Ka
Jis Tarah Baadal Ka Saya Pyaas Bhadkaata Rahe
Main Ne Wo Aalam Bhi Dekha Hai Teri Taswir Ka
Kis Tarah Paaya Tujhe Phir Kis Tarah Khoya Tujhe
Mujh Sa Munkir Bhi To Qaail Ho Gayaa Taqadir Ka
Ishq Main Sar Phodana Bhi Kya Ke Ye Be-Meher Log
Juu-E-Khoon Ko Naam Dete Hain Juu-E-Shir Ka
Jis Ko Bhi Chaaha Use Shiddat Se Chaaha Hai ‘Faraz’
Silsila Tuta Nahin Dard Ki Zanjir Ka