August 10, 2011

Ab Ke Ham Bichhde To Shaayad Kabhi Khwaabon Main Mile


Ab Ke Ham Bichhde To Shaayad Kabhi Khwaabon Main Mile
Jis Tarah Sukhe Hue Phool Kitaabon Main Mile
Dhoond Ujade Hue Logon Main Wafaa Ke Moti
Ye Khazaane Tujhe Mumkin Hai Kharaabon Main Mile
Tu Khuda Hai Na Mera Ishq Farishton Jaisa
Dono Insaan Hain To Kyon Itne Hijaabon Main Mile
Gham-E-Duniya Bhi Gham-E-Yaar Main Shaamil Kar Lo
Nasha Badata Hai Sharabain Jo Sharabon Main Mile
Aaj Ham Daar Pe Khenche Gaye Jin Baaton Par
Kya Ajab Kal Wo Zamaane Ko Nisaabon Main Mile
Ab Na Wo Main Hoon Na Tu Hai Na Wo Maazi Hai `Faraz’,
Jaise Do Shakhs Tamanna Ke Saraabon Maim Mile