August 10, 2011

Barson Ke Baad Dekha Ik Shakhs Dil Ruba Sa

Barson Ke Baad Dekha Ik Shakhs Dil Ruba Sa
Ab Zehen Main Nahin Hai Par Naam Tha Bhala Sa

Abroo Khinche Khinche Se Aankhain Jhuki Jhuki Si
Batain Ruki Ruki Si Lehaja Thaka Thaka Sa

Alfaaz The Ke Jugnu Awaaz Ke Safar Main
Ban Jaaye Jungalon Main Jis Tarah Raasta Sa

Khwaabon Main Khwaab Us Ke Yaadon Main Yaad Us Ki
Nindon Main Ghul Gaya Ho Jaise Ke Rat Jaga Sa

Pahle Bhi Log Aaye Kitne Hi Zindagi Main
Wo Har Tarah Se Lekin Auron Se Tha Juda Sa

Agli Mohabbaton Ne Wo Naa Muraadiyaan Di
Taaza Rafaaqaton Se Dil Tha Dara Dara Sa

Kuchh Ye Ke Muddaton Se Ham Bhi Nahin The Roye
Kuchh Zahar Main Bujha Tha Ahabaab Ka Dilaasa

Phir Yoon Hua Ke Saawan Aankhon Main Aa Base The
Phir Yoon Hua Ke Jaise Dil Bhi Tha Aablaa Sa

Ab Sach Kahain To Yaaro Ham Ko Khabar Nahin Thi
Ban Jaayega Qayamat Ik Vaaqia Zara Sa

Tewar The Berukhi Ke Andaaz Dosti Ke
Wo Ajnabi Tha Lekin Lagta Tha Aashna Sa

Ham Dasht The Ke Dariya Ham Zahar The Ke Amrit
Naahaq Tha Zonum Ham Ko Jab Vo Nahin Tha Pyasa

Hum Ne Bhi Us Ko Dekhaa Kal Shaam Ittefaaqan
Apana Bhi Haal Hai Ab Logo ‘Faraz’ Ka Sa