Khud Apne Liye Baith Ke Sochenge Kisi Din
Yun Hai Ki Tujhe Bhool Ke Dekhenge Kisi Din
Bhatke Hue Phirte Hain Kai Lafz Jo Dil Main
Duniya Ne Diya Waqt To Likhenge Kisi Din
Hil Jaayenge Ik Baar To Arshon Ke Dar-O-Baam
Ye Khaak Nashin Log Jo Bolenge Kisi Din
Aapas Ki Kisi Baat Ka Milta Hi Nahin Waqt
Har Baat Ye Kahte Hain Ke Baithenge Kisi Din
Ai Jaan Teri Yaad Ke Be-Naam Parinde
Shaakhon Pe Mere Dard Ki Utrenge Kisi Din
Jaati Hai Kisi Jheel Ki Gahraai Kahaan Tak
Aankhon Main Teri Dub Ke Dekhenge Kisi Din
Khushboo Se Bhari Shaam Main Jugnu Ke Qalam Se
Ik Nazm Tere Vaaste Likkhenge Kisi Din
Soyenge Teri Aankh Ki Khlwat Main Kisi Raat
Saaye Main Teri Zulf Ke Jaagenge Kisi Din
Khushboo Ki Tarah, Asl-E-Saba Khaak Numa Se
Galiyon Se Tere Shahar Ki Guzrenge Kisi Din
‘Amjad’ Hai Yahi Ab Ke Kafan Baandh Ke Sar Se
Us Shahar-E-Sitamgar Main Jaayenge Kisi Din