September 1, 2011

Chaand Ke Saath Kai Dard Purane Nikle

Chaand Ke Saath Kai Dard Purane Nikle
Kitne Gham The Jo Tere Gham Ke Bahaane Nikle
Fasl-E Gul Aai Phir Ik Baar Asiraan-E-Wafa
Apne Hi Khoon Ke Dariya Main Nahaane Nikle
Hijr Ki Chot Ajab Sang-Shikan Hoti Hai
Dil Ki Befaiz Zameeno Se Khazaane Nikle
Umr Guzri Hai Shab-E-Taar Main Aankhain Malte
Kis Ufaq Se Mera Khursheed Na Jaane Nikle
Ku-E-Qaatil Main Chale Jaise Shahidon Ka Juloos
Khwab Yun Bhigti Aankho Ko Sajaane Nikle
Dil Ne Ik Int Se Taameer Kiya Taj Mahal
Tu Ne Ik Baat Kahi Laakh Fasaane Nikle
Dasht-E Tanhaai-E-Hijraan Main Khada Sochta Hoon
Haaye Kya Log Mera Saath Nibhaane Nikle
Main Ne ‘Amjad’ Use Bevaasta Dekha Hi Nahin
Wo To Khushboo Main Bhi Aahat Ke Bahane Nikle